Wo Meri Zaat Me Jab Tak Raha Likhna Nahein Bhooli
Koi Bhi Dard Jo Main Nay Saha Likhna Nahein Bhooli
Wo Jo Mehwar Tha Likhnay Ka, Juda Ho Kar MiLa Aik Din
MiLa To Yeh Kaha Us Nay Suna Likhna Nahein Bhooli
Suna Hai Ab Bhi Chaahat Me Tumhara Naam SaiL Hai
Suna Hai Ab Bhi Tum Mujh Ko Khuda Likhna Nahein Bhooli
Suna Hai Ab Bhi Tum Mujh Ko Meray Saher BuLati HO
Suna Hai Mujh Ko Rag Rag Me Basa Likhna Nahein Bhooli
Kaha Ke Bhool Bethi Hoon Hatheli Per Hina Likhna
MaGar Main Aasmaanoon Per Dua Likhna Nahein Bhooli
Samay Ke Uthtay Maathay Per Tujhay Doondda, Bohat Doondda
Samay Ke Jhuktay Shaanoon Per Sada Likhna Nahein Bhooli
Mujhay Ek Din Meray Kaatib Nay Likha Thay Juda Tujh Say
Main Yujh Ko Aaj Bhi Khud Say Juda Likhna Nahein Bhooli
Chhupanay Ke Liye Sub Dukh Abhi Bhi Muskurati Hoon
Main Ab Bhi Chehray Per Chehra Nayya Likhna Nahein Bhooli
Main Ab Bhi iS JudaAi Me Kaiiii Dukh Dard Sehti Hoon
Main Ab Bhi Teri Aankhoon Ko Shiffaa Likhna Nahein Bhooli
Kiya Tha Tark-e-Taaluq Ka iraada Aik PaL Mein Ney
Main Ab Bhi Us iraaday Ko Saza Likhna Nahein Bhooli
BataAo Tum Mujhay Jaana'a. Main Kaisay Bhool Sakti Hoon
Abhi QudratMera Jeevan Numma Likhna Nahein Bhooli
JudaAi Kaat Li Maine MaGar Marnay Say Kuch PehLay
Main Zinda'an Ke Dareechoon Per Saba Likhna Nahein Bhooli..???
0 comments:
Post a Comment