Musafir To BadaLtay Hain, RafaQat Kab Badalti Hai
Mohabbat Zinda Rehti Hai,Mohabbat Kab Badalti Hai
Tumhi Ko Chaahtay Hein Hum,Tumhi Say Piyaar Kartay Hein
Yahi Barsoon Say Aadat Ha, Yeh Aadat Kab Badalti Hai
Tumhein Jo Yaaad Rakhaa Hai, Yahi Apni iBadat Hai
iBadat Karne Waloon Ki iBadat Kab Badalti Hai
KaLi Ka Phool Banna Aur Bikhar Jaana'a MuQdar Hai
Yahi Qaanoon-e-Fitrat Hai, So Fitrat Kab Badalti Hai
Jo DiL Per NaQshh Ho Jaye, NiGhaaHoon Me Simat Aaye
Alaamat Hai Yeh Chaahat Ki To Chaahat Kab Badalti Hai
Puraanay Zakham Ko Arshd BhuLaa Dena Hi Acchha Hai
Agar Chaahay Na Khud Koi To Kismat Kab Badalti Hai...??